my effort at translating Julia Donaldson...
Ek chuha jangal me chale jaa
raha tha…
Ek lomdi ne chuhe ko dekha
and aur chuha achcha dikh raha tha
Lomdi – Kahan jaa rahe ho,
chote chuha, mere ghar me aake khana kha
Chuha –shukriya, lomdi bhaiya
par na, main kar raha hoon gruffalo ke saath khana
Lomdi – gruffalo, ye gruffalo
kya hai?
Chuha – gruffalo, tumhe nahin
pata hai? Uske daravne panje aur haathi jaise daant. Aur bade jabde ke andar
aur bhi kai daant
Lomdi – kahan mil rahe ho use?
Chuha- yahin chattanon ke aas
paas, uska pyara khana hai lomdi ki maas
Lomdi – Lomdi ki maas (kaha
lomdi ne kaanpke), phir main chala (aur lomdi gaya bhagte bhagte)
Chuha – Lomdi to budhdhu
nikla, use pata nahin hai, gruffalo jaise koi cheez hi nahi hai?
Chuha jangal me chalte jaa
raha tha…
Ek ullu ne chuhe ko dekha and
aur chuha achcha dikh raha tha
Ullu – Kahan jaa rahe ho,
chote chuha, mere ped pe chadhkar khana kha
Chuha –shukriya, ullu bhaiya
par na, main kar raha hoon gruffalo ke saath khana
Ullu – gruffalo, ye gruffalo
kya hai?
Chuha – gruffalo, tumhe nahin
pata hai? Uske pair par bade ungliyan par chota sa ghutna. Aur naak ke sire par
zehreela sa ek bada massa
Ullu – kahan mil rahe ho use?
Chuha- yahin nadi ke kinare, uska
pyara khana hai ullu, bhune hue
Ullu – (chadhti awaaz men)
Ullu, bhune hue, Alvida chote chuha (ullu ne kaha udte hue)
Chuha – Ullu ko bhi ye pata
nahin hai, gruffalo jaise koi cheez hi nahin hai?
Chuha jangal me chalte jaa
raha tha…
Ek saanp ne chuhe ko dekha
and aur chuha achcha dikh raha tha
Saanp – Kahan jaa rahe ho,
chote chuha, mere bil me aakar khana kha
Chuha –shukriya, saanp ji par
na, main kar raha hoon gruffalo ke saath khana
Saanp – gruffalo, ye gruffalo
kya hai?
Chuha – gruffalo, tumhe nahin
pata hai? Uski lal lal ankhen, aur jeebh kali kali, uske peet par lage muhase baingani
Saanp – kahan mil rahe ho use?
Chuha- yahin jheel ke tat
par, uska pyara khana hai saanp ka sar
Saanp – Saanp ka sar, mujhe
hai kahin aur hai jana, (rengta hua saanp vahan se bhaaga)
Chuha – Saanp bhi buddhu hai,
use pata nahin, gruffalo jaise koi cheez hi nahi……..n
Par ye kaisa jaanvar hai
jiske aise daravne panje… aur itne saare daant ik bade jabde me. Uski lal lal ankhen, aur jeebh kali kali,
uske peet par lage muhase baingani
Uske pair par bade ungliyan
par chota sa ghutna. Aur naak ke sire par zehreela sa ek bada massa
Kahin ye gruffalo to nahin…
Gruffalo: Mera pyara khana,
bread ke saath lagega achcha
Chuha – Achcha! Mujhe achcha
mat kahna, seekho baaki janvaro se mujhse darna. Mere peeche chaloge to samajh
jaaoge, sab ki tarah tum bhi mujhse dar jaaoge
Gruffalo – dekhte hai
(gruffalo ne haste hue kaha), tum aage chalo aur main peeche peeche aaonga
Dono chalte gaye jab ek awaz
aaya
Gruffalo: Lagta hai kuch aage
hai yahan
Chuha: Ye saanp hai, kaise ho
saanp bhaiya
Saanp ne mudkar gruffalo ko
dekha
Baapre, saanp ne kaha, main
to yahan se chala
Aur saanp apni bil ki ore
bhaga
Chuha - Maine tumse kya kaha
tha, ab bolo
Bilkul dang rah gaya Gruffalo
Dono chalte gaye aur phir
Gruffalo bola
Gruffalo: Pedon me se kuch
awaz hai aa raha
Chuha: Ye ullu hai, kaise ho ullu
bhaiya
Ullu gruffalo ko dekhkar bola
“oooi maa
Main to abhi yahan se chala”
Aur apni ghar ki ore ud gaya
Chuha - Maine tumse kya kaha
tha, ab bolo
Bas bhouchaka rah gaya
Gruffalo
Dono chalte gaye aur phir
Gruffalo bola
Aage se pairon ki aahat hai
maine suna
Chuha: Ye lombdi hai, lombdi bhaiya
kaise ho
Lombdi gruffalo ko dekhkar
bola “bachao
Pyare chuha, achcha namaste”,
Lombdi ne kaha bhagte hue
Chuha – Achcha gruffalo, kuch
samjhe. Mujhse hai sabhi darte. Par chalte chalte mujhe bhookh lag gayi, mera
pyara khana hai gruffalo ki chhati
“Gruffalo ki chhati”, Gruffalo
ne kaha, aur dum dabakar vahan se bhaga
Jangal me sab kuch ekdum
shant tha
Chuhe ko ek ber mili…aur ber
achcha tha
No comments:
Post a Comment