Wednesday, 6 March 2019

ग्रुफलो

my effort at translating Julia Donaldson...

 

Ek chuha jangal me chale jaa raha tha…

Ek lomdi ne chuhe ko dekha and aur chuha achcha dikh raha tha

 

Lomdi – Kahan jaa rahe ho, chote chuha, mere ghar me aake khana kha

Chuha –shukriya, lomdi bhaiya par na, main kar raha hoon gruffalo ke saath khana

Lomdi – gruffalo, ye gruffalo kya hai?

Chuha – gruffalo, tumhe nahin pata hai? Uske daravne panje aur haathi jaise daant. Aur bade jabde ke andar aur bhi kai daant

Lomdi – kahan mil rahe ho use?

Chuha- yahin chattanon ke aas paas, uska pyara khana hai lomdi ki maas

Lomdi – Lomdi ki maas (kaha lomdi ne kaanpke), phir main chala (aur lomdi gaya bhagte bhagte)

Chuha – Lomdi to budhdhu nikla, use pata nahin hai, gruffalo jaise koi cheez hi nahi hai?

 

 

Chuha jangal me chalte jaa raha tha…

Ek ullu ne chuhe ko dekha and aur chuha achcha dikh raha tha

Ullu – Kahan jaa rahe ho, chote chuha, mere ped pe chadhkar khana kha

Chuha –shukriya, ullu bhaiya par na, main kar raha hoon gruffalo ke saath khana

Ullu – gruffalo, ye gruffalo kya hai?

Chuha – gruffalo, tumhe nahin pata hai? Uske pair par bade ungliyan par chota sa ghutna. Aur naak ke sire par zehreela sa ek bada massa

Ullu – kahan mil rahe ho use?

Chuha- yahin nadi ke kinare, uska pyara khana hai ullu, bhune hue

Ullu – (chadhti awaaz men) Ullu, bhune hue, Alvida chote chuha (ullu ne kaha udte hue)

Chuha – Ullu ko bhi ye pata nahin hai, gruffalo jaise koi cheez hi nahin hai?

 

Chuha jangal me chalte jaa raha tha…

Ek saanp ne chuhe ko dekha and aur chuha achcha dikh raha tha

Saanp – Kahan jaa rahe ho, chote chuha, mere bil me aakar khana kha

Chuha –shukriya, saanp ji par na, main kar raha hoon gruffalo ke saath khana

Saanp – gruffalo, ye gruffalo kya hai?

Chuha – gruffalo, tumhe nahin pata hai? Uski lal lal ankhen, aur jeebh kali kali, uske peet par lage muhase baingani

Saanp – kahan mil rahe ho use?

Chuha- yahin jheel ke tat par, uska pyara khana hai saanp ka sar 

Saanp – Saanp ka sar, mujhe hai kahin aur hai jana, (rengta hua saanp vahan se bhaaga) 

Chuha – Saanp bhi buddhu hai, use pata nahin, gruffalo jaise koi cheez hi nahi……..n

 

Par ye kaisa jaanvar hai jiske aise daravne panje… aur itne saare daant ik bade jabde me.  Uski lal lal ankhen, aur jeebh kali kali, uske peet par lage muhase baingani

Uske pair par bade ungliyan par chota sa ghutna. Aur naak ke sire par zehreela sa ek bada massa

Kahin ye gruffalo to nahin…

 

Gruffalo: Mera pyara khana, bread ke saath lagega achcha

Chuha – Achcha! Mujhe achcha mat kahna, seekho baaki janvaro se mujhse darna. Mere peeche chaloge to samajh jaaoge, sab ki tarah tum bhi mujhse dar jaaoge

Gruffalo – dekhte hai (gruffalo ne haste hue kaha), tum aage chalo aur main peeche peeche aaonga

 

Dono chalte gaye jab ek awaz aaya

Gruffalo: Lagta hai kuch aage hai yahan

Chuha: Ye saanp hai, kaise ho saanp bhaiya

Saanp ne mudkar gruffalo ko dekha

Baapre, saanp ne kaha, main to yahan se chala

Aur saanp apni bil ki ore bhaga

Chuha - Maine tumse kya kaha tha, ab bolo

Bilkul dang rah gaya Gruffalo

 

Dono chalte gaye aur phir Gruffalo bola

Gruffalo: Pedon me se kuch awaz hai aa raha

Chuha: Ye ullu hai, kaise ho ullu bhaiya

Ullu gruffalo ko dekhkar bola “oooi maa

Main to abhi yahan se chala”

Aur apni ghar ki ore ud gaya

Chuha - Maine tumse kya kaha tha, ab bolo

Bas bhouchaka rah gaya Gruffalo

 

Dono chalte gaye aur phir Gruffalo bola

Aage se pairon ki aahat hai maine suna

Chuha: Ye lombdi hai, lombdi bhaiya kaise ho

Lombdi gruffalo ko dekhkar bola “bachao

Pyare chuha, achcha namaste”,

Lombdi ne kaha bhagte hue

 

Chuha – Achcha gruffalo, kuch samjhe. Mujhse hai sabhi darte. Par chalte chalte mujhe bhookh lag gayi, mera pyara khana hai gruffalo ki chhati

“Gruffalo ki chhati”, Gruffalo ne kaha, aur dum dabakar vahan se bhaga

 

Jangal me sab kuch ekdum shant tha

Chuhe ko ek ber mili…aur ber achcha tha